Wednesday, March 8, 2017

Chaand hai saamne mujhe chandni ki pyaas hai,
Saahil pe baith kar mujhe lehro ki talaash hai.!!
..
Neeli hawaien jab badan ko chhil kar jaati hai,
Chaand ko dekhkar tab lagta hai tumse nazrein mil jaati hai..!!
..
Ye kaisa jaadu hai iss kaali raat ka, ki saagar bhi pagla jaata hai,
Kyu meri har kahani mein tumhara hi naam aata hai..
Ab kaise samjhau logo ko, ki tumhara mujhse kya naata hai..
Mujhe to har koi tumhara jaan kar chhod jaata hai.!
..
Kabhi baadlo ke pardo  mein chip jaata hai,
Hai chaand par ilzaam hai wo akela kar jaata hai..!!
..
Akelepan se tab ek ajeeb rishta ban jaata hai,
Main usko azmaati hu, wo mujhe azmaata hai.!!
..
Luka-chhipi ka ye khel nirala hai,
Wo mujhe dekh kar chhip jaata hai, phir halka sa nazar aata hai..!!
..
Keh ke gaye to they ki vapas aaogey,
Par ye to samay bhi jaanta hai,
Jaane wala kabhi laut ke nahi aata hai.!!

11 comments: