Friday, April 21, 2017

Nazrein mili to kya fasaane ho gaye,
Ek pal mein hum aapke deewane ho gaye,
Ye dosh hai tumhari nigaaho ka, jo andaaz humare aashiqaney ho gaye!!
...
Tere saathe beeti harr baat likhi hai,
harr roz kagaz pe apni mulaqat likhi hai.
Bankar teri parchhai rehna hai,
Teri saanso mein khushbu bankar behna hai.
...
Hum to tere ishq ke bimaar baithey hai,
Barbaad hone ko taiyaar baithey hai.
Dur hai tumse lekin gum nahi,
Dur rehkar bhi bhulne wale hum nahi.
Ho sake to akelepan mein hume yaad kar lena,
Humse bhi dil ki kuchh baat kar lena.
Tumse batiyaane ko bekarar baithey hai,
Hum to tere ishq ke bimaar baithey hai. 

9 comments: